Thursday, December 4, 2008

paa-ba-gil sab hain rihaai ki kare tadabir kaun

paa-ba-gil sab hain rihaa_ii kii kare tadabiir kaun
dast-bastaa shahar men khole merii zanjiir kaun

meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm ko tahariir kaun

merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne
beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun

niind jab Khvaabon se pyaarii ho to aise ahad men
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabon ko de taabiir kaun

ret abhii pichhale makaanon kii na vaapas aa_ii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamir kaun

saare rishte hijraton men saath dete hain to phir
shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun

dushmanon ke saath mere dost bhii aazaad hain
dekhanaa hai khenchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun

Parveen Shakir

No comments: