Thursday, December 4, 2008

kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii

kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii
dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii

(sard=cold; malaal=sorrow)

baat vo aadhii raat kii raat vo puure chaaNd kii
chaaNd bhii ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii

(chet=name of a month; jamaal=beauty)

sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii

dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo
shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhii

(taraash=chisel/polish (stone); shiishaagar=glazier/one works with glass)

us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii

(muhaal=difficult/impossible)

merii talab thaa ek shaKhs vo jo nahiin milaa to phir
haath duaa se yuuN giraa bhuul gayaa savaal bhii

(talab=quest/want; shaKhs=person)

shaam kii naasamajh havaa puuchh rahii hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii

(naasamajh=naive)

us ke hii baazuuon men aur us ko hii sochate rahe
jism kii Khvaahishon pe the ruuh ke aur jaal bhii

Parveen Shakir

No comments: