Thursday, December 4, 2008

kuchh faisalaa to ho ki kidhar jaanaa chaahiye

kuchh faisalaa to ho ki kidhar jaanaa chaahiye
paanii ko ab to sar se guzar jaanaa chaahiye

har baar eDiiyon pe giraa hai meraa lahuu
maqtal men ab ba-tarz-e-digar jaanaa chaahiye

kyaa chal sakenge jin kaa faqat mas'laa ye hai
jaane se pahale raKht-e-safar jaanaa chaahiye

saaraa jvaar-bhaaTaa mere dil men hai magar
ilzaam ye bhii chaaNd ke sar jaanaa chaahiye

jab bhii gaye azaab-e-dar-o-baam thaa vahii
aaKhir ko kitanii der se ghar jaanaa chaahiye

tohamat lagaa ke maaN pe jo dushman se daad le
aise suKhan_farosh ko mar jaanaa chaahiye

Parveen Shakir

No comments: