Thursday, December 4, 2008

baarish hui to phuulon ke tan chaak ho gaye

baarish hu_ii to phuulon ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye

(chaak = torn; saffaak = cruel)

baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah men
kitane buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye

(buland-o-baalaa = high and low; shajar = tree)

juganuu ko din ke vaqt pakaDane kii zid karen
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye

(ahad = times)

laharaa rahii hai barf kii chaadar haTaa ke ghaas
suuraj kii shah pe tinake bhii bebaak ho gaye

suuraj dimaaG log bhii iblaaG-e-fikr men
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye

jab bhii Gariib-e-shahar se kuchh guftaguu hu_ii
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye

saahil pe jitane aab_guziidaa the sab ke sab
dariyaa ke ruKh badalate hii tairaak ho gaye

(aab_guziidaa = scared of water; tairaak = swimmers)

No comments: